jaane se pahle KHabar-dar to kar sakta tha
jaane se pahle KHabar-dar to kar sakta tha
Seema Sharma Meeruthi
MORE BYSeema Sharma Meeruthi
jaane se pahle ḳhabar-dār to kar saktā thā
mujh ko is ke liye tayyār to kar saktā thā
maiñ nihārūñ tujhe khul kar na suhūlat thī mujhe
kam se kam khul ke tū dīdār to kar saktā thā
zard jazbāt pe ik lams kā jaadū kar ke
merī hastī ko vo gulzār to kar saktā thā
jis ne har pal kiyā dāman ko mire ḳhāk-ālūd
aa.ina sā mirā kirdār to kar saktā thā
jaane kyoñ ishq ko poshīda rakhā hai us ne
vo agar chāhtā iz.hār to kar saktā thā
koī mushkil thī use pyaar jatāne meñ agar
pyaar kī mīThī sī takrār to kar saktā thā
vo gayā rūThī huī chhoḌ ke mujh ko 'sīmā'
mānñe ko mujhe lāchār to kar saktā thā
jaane se pahle KHabar-dar to kar sakta tha
mujh ko is ke liye tayyar to kar sakta tha
main nihaarun tujhe khul kar na suhulat thi mujhe
kam se kam khul ke tu didar to kar sakta tha
zard jazbaat pe ek lams ka jadu kar ke
meri hasti ko wo gulzar to kar sakta tha
jis ne har pal kiya daman ko mere KHak-alud
aaina sa mera kirdar to kar sakta tha
jaane kyon ishq ko poshida rakha hai us ne
wo agar chahta izhaar to kar sakta tha
koi mushkil thi use pyar jatane mein agar
pyar ki miThi si takrar to kar sakta tha
wo gaya ruThi hui chhoD ke mujh ko 'sima'
manne ko mujhe lachaar to kar sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.