jaane se tere mujh pe ye kaisa asar paDa
jaane se tere mujh pe ye kaisā asar paḌā
sadiyoñ kā jaise ho koī vīrān ghar paḌā
qissa ka.ī sadī kā phir āñkhoñ meñ aa gayā
gaañv ke rāste pe jo būḌhā shajar paḌā
sunte haiñ chāñd taare haiñ puure 'urūj par
hujre meñ āsmān magar be-ḳhabar paḌā
ik sānahe ne mujh se liyā chhīn mujh ko yuuñ
ḳhud ko bhī DhūñDhnā mujhe phir dar-ba-dar paḌā
itnī tavīl thī shab-e-yaldā ki jis ke baa'd
āḳhir pe daura dil kā hī vaqt-e-sahar paḌā
kyā kyā sunā.eñ dil kā hai ye qissa muḳhtasar
dahlīz-e-yār par rahā hai 'umr bhar paḌā
jaane se tere mujh pe ye kaisa asar paDa
sadiyon ka jaise ho koi viran ghar paDa
qissa kai sadi ka phir aankhon mein aa gaya
ganw ke raste pe jo buDha shajar paDa
sunte hain chand tare hain pure 'uruj par
hujre mein aasman magar be-KHabar paDa
ek sanahe ne mujh se liya chhin mujh ko yun
KHud ko bhi DhunDhna mujhe phir dar-ba-dar paDa
itni tawil thi shab-e-yalda ki jis ke ba'd
aaKHir pe daura dil ka hi waqt-e-sahar paDa
kya kya sunaen dil ka hai ye qissa muKHtasar
dahliz-e-yar par raha hai 'umr bhar paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.