jaane ujlat mein kya hua tha mujhe
jaane ujlat meñ kyā huā thā mujhe
mashvara der se milā thā mujhe
sāzisheñ ho rahī haiñ mere ḳhilāf
sach meñ aisā hī lag rahā thā mujhe
ab jo maiñ sochtā huuñ baiThā huā
ye to pahle hī sochnā thā mujhe
aks par pheñktā thā qahqaha maiñ
aks ro-ro ke dekhtā thā mujhe
be-hisī bhī koī ilaaj nahīñ
is kā ehsās ho chukā thā mujhe
us ne vāpas zarūr kar diyā dil
haañ magar toḌ kar diyā thā mujhe
maiñ akelā thā apne lashkar meñ
bhaag jaane meñ fā.eda thā mujhe
jaane ujlat mein kya hua tha mujhe
mashwara der se mila tha mujhe
sazishen ho rahi hain mere KHilaf
sach mein aisa hi lag raha tha mujhe
ab jo main sochta hun baiTha hua
ye to pahle hi sochna tha mujhe
aks par phenkta tha qahqaha main
aks ro-ro ke dekhta tha mujhe
be-hisi bhi koi ilaj nahin
is ka ehsas ho chuka tha mujhe
us ne wapas zarur kar diya dil
han magar toD kar diya tha mujhe
main akela tha apne lashkar mein
bhag jaane mein faeda tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.