jaane ye kis ki banai hui taswiren hain
jaane ye kis kī banā.ī huī tasvīreñ haiñ
taaj sar par haiñ magar paañv meñ zanjīreñ haiñ
kyā mirī soch thī kyā sāmne aayā mere
kyā mire ḳhvāb the kyā ḳhvāb kī tābīreñ haiñ
kitne sar haiñ ki jo gardan-zadanī haiñ ab bhī
ham ki buzdil haiñ magar haath meñ shamshīreñ haiñ
chaar jānib haiñ siyah raat ke saa.e lekin
ufuq-e-dil pe na.ī sub.h kī tanvīreñ haiñ
us kī āñkhoñ ko ḳhudā yuuñ hī salāmat rakkhe
us kī āñkhoñ meñ mire ḳhvāb kī tābīreñ haiñ
jaane ye kis ki banai hui taswiren hain
taj sar par hain magar panw mein zanjiren hain
kya meri soch thi kya samne aaya mere
kya mere KHwab the kya KHwab ki tabiren hain
kitne sar hain ki jo gardan-zadani hain ab bhi
hum ki buzdil hain magar hath mein shamshiren hain
chaar jaanib hain siyah raat ke sae lekin
ufuq-e-dil pe nai subh ki tanwiren hain
us ki aankhon ko KHuda yun hi salamat rakkhe
us ki aankhon mein mere KHwab ki tabiren hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.