jaane ye kis tarah ki wahshat hai
jaane ye kis tarah kī vahshat hai
na koī kaam hai na fursat hai
ek sannāTā chaar sū hai mire
dil pe tanhā.ī kī hukūmat hai
mujh ko zindāñ meñ Daal kar ye kahā
bach ga.e ho yahī ġhanīmat hai
mausam-e-hijr ke gulāboñ meñ
na koī rañg hai na nik.hat hai
hotī jaatī hai har ḳhushī nāyāb
haañ masā.ib meñ ḳhuub barakat hai
aise hālāt meñ bhī zinda haiñ
mere maulā ye terī rahmat hai
jaane ye kis tarah ki wahshat hai
na koi kaam hai na fursat hai
ek sannaTa chaar su hai mere
dil pe tanhai ki hukumat hai
mujh ko zindan mein Dal kar ye kaha
bach gae ho yahi ghanimat hai
mausam-e-hijr ke gulabon mein
na koi rang hai na nikhat hai
hoti jati hai har KHushi nayab
han masaib mein KHub barakat hai
aise haalat mein bhi zinda hain
mere maula ye teri rahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.