jaanen kyon log mohabbat ki zaban bhul gae
jāneñ kyoñ log mohabbat kī zabāñ bhuul ga.e
dard-e-dil bhuul ga.e āh-e-tapāñ bhuul ga.e
ab to milte nahīñ āshufta-e-sar raste meñ
manzil-e-ishq-o-junūñ rah-guzrāñ bhuul ga.e
ham divāne the chale aa.e bayābāñ kī taraf
vo jo hushiyār the kāñToñ kā jahāñ bhuul ga.e
kitne nādāñ the dhuñdalkoñ se bahalne vaale
āshiqī bhuul ga.e soz-e-nihāñ bhuul ga.e
mo.ajiza hotī hai kahte haiñ mohabbat kī kasak
jaane ham log us afsūñ ko kahāñ bhuul ga.e
chāk-dāmānī-e-dil apnā muqaddar Thahrī
mere dāman kā rafū baḳhiya-garāñ bhuul ga.e
koī 'nāzish' ko jo pūchhe hai to kyā batlā.eñ
dil-shikasta thā bahut jaane kahāñ bhuul ga.e
jaanen kyon log mohabbat ki zaban bhul gae
dard-e-dil bhul gae aah-e-tapan bhul gae
ab to milte nahin aashufta-e-sar raste mein
manzil-e-ishq-o-junun rah-guzran bhul gae
hum diwane the chale aae bayaban ki taraf
wo jo hushiyar the kanTon ka jahan bhul gae
kitne nadan the dhundalkon se bahalne wale
aashiqi bhul gae soz-e-nihan bhul gae
moajiza hoti hai kahte hain mohabbat ki kasak
jaane hum log us afsun ko kahan bhul gae
chaak-damani-e-dil apna muqaddar Thahri
mere daman ka rafu baKHiya-garan bhul gae
koi 'nazish' ko jo puchhe hai to kya batlaen
dil-shikasta tha bahut jaane kahan bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.