jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi
jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
jānib-e-manzil safar meñ raushnī sī hai abhī
is añdherī raat meñ bhī chāñdnī sī hai abhī
jo hamāre dil meñ hai vo buujh leñge ḳhud kabhī
baat kyā samjhā.iye jo an-kahī sī hai abhī
hai vahī dhaḌkan purānī par mirī sāñsoñ meñ kyuuñ
ik na.ī ḳhushbū hai maano tāzgī sī hai abhī
kyā vahī aa.egī le kar chilchilātī dopahar
ik suhānī dhuup jo lagtī bhalī sī hai abhī
ho sake dohrā.iye na baat jo sachchī lage
dushmanī ban jā.egī jo dostī sī hai abhī
jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi
is andheri raat mein bhi chandni si hai abhi
jo hamare dil mein hai wo bujh lenge KHud kabhi
baat kya samjhaiye jo an-kahi si hai abhi
hai wahi dhaDkan purani par meri sanson mein kyun
ek nai KHushbu hai mano tazgi si hai abhi
kya wahi aaegi le kar chilchilati dopahar
ek suhani dhup jo lagti bhali si hai abhi
ho sake dohraiye na baat jo sachchi lage
dushmani ban jaegi jo dosti si hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.