jaanta hai tu hamari rifaton ko aasman
jāntā hai tū hamārī rif.atoñ ko āsmāñ
hai hamārī ḳhāk-e-pā se ye chamaktī kahkashāñ
kyā Darā.eñgī mujhe ye chand kaalī badliyāñ
bijliyoñ ke saa.e meñ pal kar huā huuñ maiñ javāñ
rashk se tum is tarah dekho na merā āshiyāñ
TuuT kar tum par bhī gir saktī haiñ yaaro bijliyāñ
tum jinheñ kāñTe kahā karte ho ahl-e-gulsitāñ
ismat-e-gul ke yahī hotī haiñ aksar pāsbāñ
terī mahfil meñ ḳhamoshī bhī hai merā imtihāñ
maiñ zabāñ rakhte hue bhī ho gayā huuñ be-zabāñ
baat bhī sunñā unheñ merī gavārā ab nahīñ
jin ke afsāne ko dī haiñ ḳhūn-e-dil se surḳhiyāñ
is liye pherī hai shāyad merī jānib se nazar
dekh pāoge na tum merī nigāh-e-ḳhūñ-chakāñ
ye ḳhulūs-o-mehr-o-ulfat to hasīñ alfāz haiñ
jin ke ma.anī meñ chhupī haiñ zindagī kī talḳhiyāñ
ham na hoñge phir bhī ye duniyā ise dohrā.egī
ham ne likh dī hai ġhazal meñ apne dil kī dāstāñ
bujh chukā thā terī furqat meñ dil-e-'sāqib' magar
terī yādoñ ne kiyā har gosha-e-dil zau-fishāñ
jaanta hai tu hamari rifaton ko aasman
hai hamari KHak-e-pa se ye chamakti kahkashan
kya Daraengi mujhe ye chand kali badliyan
bijliyon ke sae mein pal kar hua hun main jawan
rashk se tum is tarah dekho na mera aashiyan
TuT kar tum par bhi gir sakti hain yaro bijliyan
tum jinhen kanTe kaha karte ho ahl-e-gulsitan
ismat-e-gul ke yahi hoti hain aksar pasban
teri mahfil mein KHamoshi bhi hai mera imtihan
main zaban rakhte hue bhi ho gaya hun be-zaban
baat bhi sunna unhen meri gawara ab nahin
jin ke afsane ko di hain KHun-e-dil se surKHiyan
is liye pheri hai shayad meri jaanib se nazar
dekh paoge na tum meri nigah-e-KHun-chakan
ye KHulus-o-mehr-o-ulfat to hasin alfaz hain
jin ke mani mein chhupi hain zindagi ki talKHiyan
hum na honge phir bhi ye duniya ise dohraegi
hum ne likh di hai ghazal mein apne dil ki dastan
bujh chuka tha teri furqat mein dil-e-'saqib' magar
teri yaadon ne kiya har gosha-e-dil zau-fishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.