jaante hain ahl-e-dil la-jawab hain hum log
jānte haiñ ahl-e-dil lā-javāb haiñ ham log
dahr ke shabistāñ meñ māhtāb haiñ ham log
narm garm hāthoñ meñ ik gulāb haiñ ham log
ThanDe ThanDe mausam kā āftāb haiñ ham log
dekhne meñ vaise to ik habāb haiñ ham log
haañ magar har ik lamha inqalāb haiñ ham log
ḳhuuñ ke pyāse zālim ko dil-figār qātil ko
aa.ina dikhāne meñ kāmyāb haiñ ham log
harf-o-lafz-o-ma.anī kī jis meñ bahtī hai gangā
paḌhnā chāhe to dil kī ik kitāb haiñ ham log
ilm-o-fikr-o-hikmat kī sham'eñ ham jalāte haiñ
fann-e-ilm-o-hikmat meñ be-hisāb haiñ ham log
jis ko pī ke duniyā sab jhuum jhuum uThe 'nādir'
ahl-e-haq kī mahfil kī vo sharāb haiñ ham log
jaante hain ahl-e-dil la-jawab hain hum log
dahr ke shabistan mein mahtab hain hum log
narm garm hathon mein ek gulab hain hum log
ThanDe ThanDe mausam ka aaftab hain hum log
dekhne mein waise to ek habab hain hum log
han magar har ek lamha inqalab hain hum log
KHun ke pyase zalim ko dil-figar qatil ko
aaina dikhane mein kaamyab hain hum log
harf-o-lafz-o-mani ki jis mein bahti hai ganga
paDhna chahe to dil ki ek kitab hain hum log
ilm-o-fikr-o-hikmat ki sham'en hum jalate hain
fann-e-ilm-o-hikmat mein be-hisab hain hum log
jis ko pi ke duniya sab jhum jhum uThe 'nadir'
ahl-e-haq ki mahfil ki wo sharab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.