jaanti ho ki kya hua hai tumhein
jāntī ho ki kyā huā hai tumheñ
ishq kā rog lag gayā hai tumheñ
baal bikhre ye mad-bharī āñkheñ
kaun sā rang ye chaḌhā hai tumheñ
ai merī jaan sun rahī ho nā
dil ye āvāz de rahā hai tumheñ
boltī kyoñ nahīñ ho bolo bhī
kyā achānak se ho gayā hai tumheñ
ek tum ho jo dekhtī bhī nahīñ
koī muḌ-muḌ ke dekhtā hai tumheñ
tum ko dekheñ to dekhte jaa.eñ
dekhne kā alag maza hai tumheñ
jaanti ho ki kya hua hai tumhein
ishq ka rog lag gaya hai tumhein
baal bikhre ye mad-bhari aankhen
kaun sa rang ye chaDha hai tumhein
ai meri jaan sun rahi ho na
dil ye aawaz de raha hai tumhein
bolti kyon nahin ho bolo bhi
kya achanak se ho gaya hai tumhein
ek tum ho jo dekhti bhi nahin
koi muD-muD ke dekhta hai tumhein
tum ko dekhen to dekhte jaen
dekhne ka alag maza hai tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.