jao ab dasht hi tazir tumhaare liye hai
jaao ab dasht hī tā'zīr tumhāre liye hai
phir na kahnā koī zanjīr tumhāre liye hai
apne hī dast-e-tahī-zarf ne maarā tum ko
ab bikhar jaanā hī iksīr tumhāre liye hai
āḳhir-e-shab tumheñ āñkhoñ kā bharam khonā thā
ab koī ḳhvāb na tā'bīr tumhāre liye hai
'aks nazzāra karo zūd-pashemānī kā
ab tumhārī yahī tasvīr tumhāre liye hai
aaj se tum pe dar-e-harf-o-navā band huā
ab koī lafz na tāsīr tumhāre liye hai
mansab-e-dard se dil ne tumheñ mā'zūl kiyā
tum samajhte the ye jāgīr tumhāre liye hai
jao ab dasht hi ta'zir tumhaare liye hai
phir na kahna koi zanjir tumhaare liye hai
apne hi dast-e-tahi-zarf ne mara tum ko
ab bikhar jaana hi iksir tumhaare liye hai
aaKHir-e-shab tumhein aankhon ka bharam khona tha
ab koi KHwab na ta'bir tumhaare liye hai
'aks nazzara karo zud-pashemani ka
ab tumhaari yahi taswir tumhaare liye hai
aaj se tum pe dar-e-harf-o-nawa band hua
ab koi lafz na tasir tumhaare liye hai
mansab-e-dard se dil ne tumhein ma'zul kiya
tum samajhte the ye jagir tumhaare liye hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 119)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.