jari thi abhi dua hamari
jaarī thī abhī duā hamārī
aur TuuT ga.ī sadā hamārī
yaañ raakh se baat chal rahī hai
tū sho.alagī par na jā hamārī
jhoñkā thā gurez ke nashe meñ
dīvār girā gayā hamārī
duniyā meñ simaT ke rah ga.e haiñ
bas ho chukī intihā hamārī
maiñ aur ulajh gayā huuñ tujh meñ
zanjīr khulī hai kyā hamārī
aa dekh jo ham dikhā rahe haiñ
aa baañT kabhī sazā hamārī
paanī pe mazāq ban ga.e ham
kashtī meñ ne thī jā hamārī
go ek ġhubār meñ haiñ donoñ
vahshat hai judā judā hamārī
jari thi abhi dua hamari
aur TuT gai sada hamari
yan rakh se baat chal rahi hai
tu shoalagi par na ja hamari
jhonka tha gurez ke nashe mein
diwar gira gaya hamari
duniya mein simaT ke rah gae hain
bas ho chuki intiha hamari
main aur ulajh gaya hun tujh mein
zanjir khuli hai kya hamari
aa dekh jo hum dikha rahe hain
aa banT kabhi saza hamari
pani pe mazaq ban gae hum
kashti mein ne thi ja hamari
go ek ghubar mein hain donon
wahshat hai juda juda hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.