jate jate rasm-e-duri yun nibhate jaiye
jaate jaate rasm-e-dūrī yuuñ nibhāte jā.iye
bevafā.ī kī koī tohmat lagāte jā.iye
pūchhne vaale to pūchheñge judā.ī kā sabab
kyā kaheñge ham zamāne se batāte jā.iye
dekh lenā ġhair apne se lageñge aap ko
bas zarā sā dostoñ ko āzmāte jā.iye
manziloñ kī justujū meñ aap ke baḌhte qadam
gar kahīñ kāñTe mileñ dāman bachāte jā.iye
chaar din kī zindagī meñ chand ḳhushiyāñ haiñ sahī
ġham bhulā kar un kī ḳhātir muskurāte jā.iye
jate jate rasm-e-duri yun nibhate jaiye
bewafai ki koi tohmat lagate jaiye
puchhne wale to puchhenge judai ka sabab
kya kahenge hum zamane se batate jaiye
dekh lena ghair apne se lagenge aap ko
bas zara sa doston ko aazmate jaiye
manzilon ki justuju mein aap ke baDhte qadam
gar kahin kanTe milen daman bachate jaiye
chaar din ki zindagi mein chand KHushiyan hain sahi
gham bhula kar un ki KHatir muskuraate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.