jate waqt tujhe to hum hansta dekhenge
jaate vaqt tujhe to ham hañstā dekheñge
phir ā.īne meñ ḳhud kā ronā dekheñge
ek dafa ham ne tum ko jī bhar dekhā thā
ham ba.ad tumhāre ab kyā duniyā dekheñge
aap ne merī āñkhoñ meñ dariyā dekhā hai
thoḌā ruk jaa.eñ to phir sahrā dekheñge
un āñkhoñ meñ aur kisī kā chehra dekhā
ham is se ziyāda kyā aur burā dekheñge
kaun nibhātā hai tā-umr kisī se rishta
phir tujh ko bhī ham hairat se kyā dekheñge
jate waqt tujhe to hum hansta dekhenge
phir aaine mein KHud ka rona dekhenge
ek dafa hum ne tum ko ji bhar dekha tha
hum baad tumhaare ab kya duniya dekhenge
aap ne meri aankhon mein dariya dekha hai
thoDa ruk jaen to phir sahra dekhenge
un aankhon mein aur kisi ka chehra dekha
hum is se ziyaada kya aur bura dekhenge
kaun nibhata hai ta-umr kisi se rishta
phir tujh ko bhi hum hairat se kya dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.