jawedan gham ahd-e-ishrat tez-pa
jāvedāñ ġham ahd-e-ishrat tez-pā
jaane kyā hai zindagī kā mudda.ā
uTh rahe haiñ dam-ba-dam tūfān-e-ġham
ek dil hai maiñ huuñ aur merā ḳhudā
hai ġham-e-dil manzil-e-āġhāz meñ
dekhiye hotā hai ab anjām kyā
hāl-e-dil par aap kyoñ haiñ nauhagar
maiñ ne paa.ī hai mohabbat kī sazā
Dūbtī hai merī kashtī Duub jaa.e
kaun ho minnat-pazīr-e-nāḳhudā
aap bhī āḳhir na mere ho sake
aur ab kis se ho ummīd-e-vafā
'hosh' maiñ nā-āshnā-e-intiqām
apne dushman ko bhī detā huuñ duā
jawedan gham ahd-e-ishrat tez-pa
jaane kya hai zindagi ka muddaa
uTh rahe hain dam-ba-dam tufan-e-gham
ek dil hai main hun aur mera KHuda
hai gham-e-dil manzil-e-aghaz mein
dekhiye hota hai ab anjam kya
haal-e-dil par aap kyon hain nauhagar
main ne pai hai mohabbat ki saza
Dubti hai meri kashti Dub jae
kaun ho minnat-pazir-e-naKHuda
aap bhi aaKHir na mere ho sake
aur ab kis se ho ummid-e-wafa
'hosh' main na-ashna-e-intiqam
apne dushman ko bhi deta hun dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.