jab aae chand harf-e-shikayat zaban par
jab aae chand harf-e-shikayat zaban par
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
jab aa.e chand harf-e-shikāyat zabān par
nāloñ kā shor jaane lagā āsmān par
aaya mizāj-e-yār agar imtihān par
ham kushtagān-e-zauq haiñ kheleñge jaan par
ik gard-bād-e-ḳhāk kā naqsha hai zindagī
goyā ki haiñ zamīñ pe na ham āsmān par
hālāñki be-zabān haiñ naqsh-e-qadam kī tarh
lekin miTe hue haiñ tumhāre bayān par
muddat huī ki ham sū-e-sahrā nahīñ ga.e
vīrān ab hamārī jagah hai makān par
josh-e-sharāb-e-ishq hai aur shauq-e-jān hai
ham be-ḳhudī meñ khel hī jā.eñge jaan par
ham jānte haiñ vāda-e-mauhūm ko magar
qurbān kar rahe haiñ yaqīñ ko gumān par
kyā is jahān se hai ziyāda vahāñ kā lutf
marte haiñ log saikḌoñ kyoñ us jahān par
dushman hai barq-o-bād to dushman hai bāġhbāñ
kyā kyā sitam haiñ chand asīroñ kī jaan par
phailā huā hai qissa-e-mansūr har taraf
zinhār rāz-e-dost na aa.e zabān par
ai ḳhāk-e-gor itne na de ranj be-shumār
kartā nahīñ hai koī jafā mehmān par
'mas.ūd' rāst-bāz vo samjheñge kis tarah
jab hai yaqīñ daroġh kā tere bayān par
jab aae chand harf-e-shikayat zaban par
nalon ka shor jaane laga aasman par
aaya mizaj-e-yar agar imtihan par
hum kushtagan-e-zauq hain khelenge jaan par
ek gard-baad-e-KHak ka naqsha hai zindagi
goya ki hain zamin pe na hum aasman par
haalanki be-zaban hain naqsh-e-qadam ki tarh
lekin miTe hue hain tumhaare bayan par
muddat hui ki hum su-e-sahra nahin gae
viran ab hamari jagah hai makan par
josh-e-sharab-e-ishq hai aur shauq-e-jaan hai
hum be-KHudi mein khel hi jaenge jaan par
hum jaante hain wada-e-mauhum ko magar
qurban kar rahe hain yaqin ko guman par
kya is jahan se hai ziyaada wahan ka lutf
marte hain log saikDon kyon us jahan par
dushman hai barq-o-baad to dushman hai baghban
kya kya sitam hain chand asiron ki jaan par
phaila hua hai qissa-e-mansur har taraf
zinhaar raaz-e-dost na aae zaban par
ai KHak-e-gor itne na de ranj be-shumar
karta nahin hai koi jafa mehman par
'masud' rast-baz wo samjhenge kis tarah
jab hai yaqin darogh ka tere bayan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.