jab aaftab samundar mein ja giraata hun
jab āftāb samundar meñ jā girātā huuñ
tab apne aap se bāhar nikal ke aatā huuñ
hasīn ḳhvāboñ ko saare hare parindoñ ko
jhulastī zaat ke sahrā meñ chhoḌ aatā huuñ
jo TūTtā hai ujāloñ ke shahr meñ taarā
maiñ jugnuoñ ke liye āshiyāñ banātā huuñ
ye maiñ nahīñ huuñ ye terī nazar kā dhoka hai
tū kaun huuñ maiñ kisī ko nahīñ batātā huuñ
jab aaftab samundar mein ja giraata hun
tab apne aap se bahar nikal ke aata hun
hasin KHwabon ko sare hare parindon ko
jhulasti zat ke sahra mein chhoD aata hun
jo TuTta hai ujalon ke shahr mein tara
main jugnuon ke liye aashiyan banata hun
ye main nahin hun ye teri nazar ka dhoka hai
tu kaun hun main kisi ko nahin batata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.