jab aana hi hai to kya faeda thaka ke mujhe
jab aanā hī hai to kyā fā.eda thakā ke mujhe
farishto dafn karo āsmāñ pe jā ke mujhe
kahāñ chalā hai yuuñ āñkhoñ se tū pilā ke mujhe
palaT idhar ko ai saaqī sañbhāl aa ke mujhe
vo apne haath pe dushman kā naam likhte haiñ
hinā bhī dekhtī hai tyoriyāñ chaḌhā ke mujhe
ye sach hai sar pe jo aa.ī ho vo nahīñ Taltī
ajal ne DhūñD liyā un ke dil meñ jā ke mujhe
dikhāoge mujhe mahshar ye tum ne ḳhuub kahī
to der kyā hai dikhā do naqāb uThā ke mujhe
abhī abhī vo janāze pe mere aa.e haiñ
mire raqīb kahāñ le chale uThā ke mujhe
'adū se haal mirā sun ke ashk-bār na hoñ
abhī to aap ne dekhā nahīñ hai aa ke mujhe
mire mazār ko bhī Thokaroñ se Thukrāyā
maze vo lete haiñ 'hāris' miTā miTā ke mujhe
jab aana hi hai to kya faeda thaka ke mujhe
farishto dafn karo aasman pe ja ke mujhe
kahan chala hai yun aankhon se tu pila ke mujhe
palaT idhar ko ai saqi sanbhaal aa ke mujhe
wo apne hath pe dushman ka nam likhte hain
hina bhi dekhti hai tyoriyan chaDha ke mujhe
ye sach hai sar pe jo aai ho wo nahin Talti
ajal ne DhunD liya un ke dil mein ja ke mujhe
dikhaoge mujhe mahshar ye tum ne KHub kahi
to der kya hai dikha do naqab uTha ke mujhe
abhi abhi wo janaze pe mere aae hain
mere raqib kahan le chale uTha ke mujhe
'adu se haal mera sun ke ashk-bar na hon
abhi to aap ne dekha nahin hai aa ke mujhe
mere mazar ko bhi Thokaron se Thukraya
maze wo lete hain 'haaris' miTa miTa ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.