jab aas ka dipak bujhta hai nazron ka salam aa jata hai
jab aas ka dipak bujhta hai nazron ka salam aa jata hai
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
jab aas kā dīpak bujhtā hai nazroñ kā salām aa jaatā hai
marne kī tamanna karte hī jiine kā payām aa jaatā hai
jab huuk sī dil meñ uThtī hai jab dard badaltā hai pahlū
be-sāḳhta mere hoñToñ par kyoñ aap kā naam aa jaatā hai
kyā bhed hai is meñ ai vaa.iz tauba kā irāda karte hī
kyoñ kaalī ghaTā.eñ aatī haiñ kyoñ raqs meñ jaam aa jaatā hai
jī bhar ke nazāra karne kā mauqa hī nahīñ miltā mujh ko
jab sāmnā un kā hotā hai sajde kā maqām aa jaatā hai
is vāste us ko siine se din-rāt lagā.e rakhtā huuñ
achchhā hai burā hai jaisā hai dil vaqt pe kaam aa jaatā hai
ai soz ḳhamoshī behtar hai iz.hār-e-junūn-e-ulfat se
terā hī nahīñ is qisse meñ un kā bhī to naam aa jaatā hai
jab aas ka dipak bujhta hai nazron ka salam aa jata hai
marne ki tamanna karte hi jine ka payam aa jata hai
jab huk si dil mein uThti hai jab dard badalta hai pahlu
be-saKHta mere honTon par kyon aap ka nam aa jata hai
kya bhed hai is mein ai waiz tauba ka irada karte hi
kyon kali ghaTaen aati hain kyon raqs mein jam aa jata hai
ji bhar ke nazara karne ka mauqa hi nahin milta mujh ko
jab samna un ka hota hai sajde ka maqam aa jata hai
is waste us ko sine se din-raat lagae rakhta hun
achchha hai bura hai jaisa hai dil waqt pe kaam aa jata hai
ai soz KHamoshi behtar hai izhaar-e-junun-e-ulfat se
tera hi nahin is qisse mein un ka bhi to nam aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.