jab andhere ke bayaban se guzar jaega
jab añdhere ke bayābāñ se guzar jā.egā
nā-tavāñ jism ke saa.e se vo Dar jā.egā
gar ḳhayālāt kā shīrāza bikhar jā.egā
aadmī apnī hadoñ se bhī guzar jā.egā
karb kī dhuup kī garmī se pareshāñ ho kar
vo mirī ruuh ke dariyā meñ utar jā.egā
hai thakā-hārā bahut vaqt kā būḌhā sūraj
chalte-chalte kisī saa.e meñ Thahar jā.egā
uub kar ghar kī ghuTan se to nikal aaya hai
ab bhaTaktā huā jaane vo kidhar jā.egā
apne afkār kī bhīkoñ se hī 'jāmī' shāyad
mere alfāz ke kashkol ko bhar jā.egā
jab andhere ke bayaban se guzar jaega
na-tawan jism ke sae se wo Dar jaega
gar KHayalat ka shiraaza bikhar jaega
aadmi apni hadon se bhi guzar jaega
karb ki dhup ki garmi se pareshan ho kar
wo meri ruh ke dariya mein utar jaega
hai thaka-haara bahut waqt ka buDha suraj
chalte-chalte kisi sae mein Thahar jaega
ub kar ghar ki ghuTan se to nikal aaya hai
ab bhaTakta hua jaane wo kidhar jaega
apne afkar ki bhikon se hi 'jami' shayad
mere alfaz ke kashkol ko bhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.