jab apne KHwab ka chehra banega
jab apne ḳhvāb kā chehra banegā
hameñ mā'lūm hai kaisā banegā
balā kī tīrgī hai dil khañDar meñ
zarā sī raushnī se kyā banegā
ham ik raste ke do tanhā musāfir
hamāre biich kyā rishta banegā
maiñ jis tartīb se bikhrā paḌā huuñ
agar yakjā huā to kyā banegā
jahāñ sahrā se sahrā ban rahe hoñ
vahāñ tishna-labī kā kyā banegā
agar ye shor had se baḌh gayā to
hamārī ḳhāmoshī kā kyā banegā
jab apne KHwab ka chehra banega
hamein ma'lum hai kaisa banega
bala ki tirgi hai dil khanDar mein
zara si raushni se kya banega
hum ek raste ke do tanha musafir
hamare bich kya rishta banega
main jis tartib se bikhra paDa hun
agar yakja hua to kya banega
jahan sahra se sahra ban rahe hon
wahan tishna-labi ka kya banega
agar ye shor had se baDh gaya to
hamari KHamoshi ka kya banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.