jab apne wadon se un ko makr hi jaana tha
jab apne va.adoñ se un ko makr hī jaanā thā
hameñ bhī saarī hadoñ se guzar hī jaanā thā
lahū kī taab se raushan thā kārvān-e-hayāt
fareb dene se behtar to mar hī jaanā thā
na rakh sake sar-e-saudā-e-ishq kī tauqīr
buland rakhte ḳhushī se jo sar hī jaanā thā
lahū kī aag asīrī meñ sard ho ke rahī
isī liye hameñ zindāñ se ghar hī jaanā thā
jo intishār-e-vajūd-e-ziyāñ hī thā maqsūm
charāġh-e-nūr kī sūrat bikhar hī jaanā thā
na mil sakī kahīñ ghar se sivā hameñ vahshat
palaT ke is liye qadmoñ ko ghar hī jaanā thā
huī jo zer-o-zabar ziist yuuñ masā.il se
ġhurūr-e-ishq kā dariyā utar hī jaanā thā
agarche miltā bhī un ko unhī sā saudā.ī
fareb-e-dostī 'ḳhālid' ke sar hī jaanā thā
jab apne wadon se un ko makr hi jaana tha
hamein bhi sari hadon se guzar hi jaana tha
lahu ki tab se raushan tha karwan-e-hayat
fareb dene se behtar to mar hi jaana tha
na rakh sake sar-e-sauda-e-ishq ki tauqir
buland rakhte KHushi se jo sar hi jaana tha
lahu ki aag asiri mein sard ho ke rahi
isi liye hamein zindan se ghar hi jaana tha
jo intishaar-e-wajud-e-ziyan hi tha maqsum
charagh-e-nur ki surat bikhar hi jaana tha
na mil saki kahin ghar se siwa hamein wahshat
palaT ke is liye qadmon ko ghar hi jaana tha
hui jo zer-o-zabar zist yun masail se
ghurur-e-ishq ka dariya utar hi jaana tha
agarche milta bhi un ko unhi sa saudai
fareb-e-dosti 'KHalid' ke sar hi jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.