jab apni aankhon se ashkon ka qafila nikla
jab apnī āñkhoñ se ashkoñ kā qāfila niklā
kināre TuuTe to dariyā kā hausla niklā
vo merī bazm meñ aa.e raqīb ke hamrāh
chalo ki milne kā koī to silsila niklā
mileñ na aaj bhī bachchoñ ko roTiyāñ shāyad
vo ghar se sub.h yahī sochtā huā niklā
vo ik varaq ki mirā naam jis pe likkhā thā
tirī kitāb meñ vo kyoñ miTā miTā niklā
maiñ apne chehre pe ḳhushiyāñ sajā to laayā magar
har ek shaḳhs mire ġham se āshnā niklā
maiñ apnā haal sunāne lagā jise 'rāhī'
to us kā dard mire dard se sivā niklā
jab apni aankhon se ashkon ka qafila nikla
kinare TuTe to dariya ka hausla nikla
wo meri bazm mein aae raqib ke hamrah
chalo ki milne ka koi to silsila nikla
milen na aaj bhi bachchon ko roTiyan shayad
wo ghar se subh yahi sochta hua nikla
wo ek waraq ki mera nam jis pe likkha tha
teri kitab mein wo kyon miTa miTa nikla
main apne chehre pe KHushiyan saja to laya magar
har ek shaKHs mere gham se aashna nikla
main apna haal sunane laga jise 'rahi'
to us ka dard mere dard se siwa nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.