jab ashk teri yaad mein aankhon se Dhale hain
jab ashk teri yaad mein aankhon se Dhale hain
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
jab ashk tirī yaad meñ āñkhoñ se Dhale haiñ
tāroñ ke diye sūrat-e-parvāna jale haiñ
sau baar basā.ī hai shab-e-vasl kī jannat
sau baar ġham-e-hijr ke sho'loñ meñ jale haiñ
har aan umangoñ ke badalte rahe tevar
har aan mohabbat meñ na.ī raah chale haiñ
mahtāb se chehre the sitāroñ sī nigāheñ
ham log inhī chāñd sitāroñ meñ pale haiñ
noche haiñ kabhī ham ne havādis ke garebāñ
nākāmī-e-koshish pe kabhī haath male haiñ
tārīk fazāoñ ke ubharte rahe tūfāñ
phir bhī tirī yādoñ ke diye ḳhuub jale haiñ
kyā jāniye ye riñd bure haiñ ki bhale haiñ
saaqī kī nigāhoñ ke ishāroñ pe chale haiñ
mahsūs ye hotā hai ki duniyā kī bahāreñ
us gul-kada-e-nāz ke saa.e ke tale haiñ
yūñhī to dil-āvez nahīñ she'r-e-'tabassum'
ye naqsh tire husn ke sāñche meñ Dhale haiñ
jab ashk teri yaad mein aankhon se Dhale hain
taron ke diye surat-e-parwana jale hain
sau bar basai hai shab-e-wasl ki jannat
sau bar gham-e-hijr ke sho'lon mein jale hain
har aan umangon ke badalte rahe tewar
har aan mohabbat mein nai rah chale hain
mahtab se chehre the sitaron si nigahen
hum log inhi chand sitaron mein pale hain
noche hain kabhi hum ne hawadis ke gareban
nakaami-e-koshish pe kabhi hath male hain
tarik fazaon ke ubharte rahe tufan
phir bhi teri yaadon ke diye KHub jale hain
kya jaaniye ye rind bure hain ki bhale hain
saqi ki nigahon ke ishaaron pe chale hain
mahsus ye hota hai ki duniya ki bahaaren
us gul-kada-e-naz ke sae ke tale hain
yunhi to dil-awez nahin she'r-e-'tabassum'
ye naqsh tere husn ke sanche mein Dhale hain
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 209)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.