jab ashkon mein sadaen Dhal rahi thin
jab ashkoñ meñ sadā.eñ Dhal rahī thiiñ
sar-e-mizhgāñ duā.eñ jal rahī thiiñ
lahū meñ zahr ghultā jā rahā thā
mire andar balā.eñ pal rahī thiiñ
muqayyad habs meñ ik maslahat ke
ummīdoñ kī ridā.eñ gal rahī thiiñ
paroñ meñ yāsiyat jamne lagī thī
bahut muddat havā.eñ shal rahī thiiñ
vahāñ is aañkh ne badle the tevar
yahāñ saarī dishā.eñ jal rahī thiiñ
jab ashkon mein sadaen Dhal rahi thin
sar-e-mizhgan duaen jal rahi thin
lahu mein zahr ghulta ja raha tha
mere andar balaen pal rahi thin
muqayyad habs mein ek maslahat ke
ummidon ki ridaen gal rahi thin
paron mein yasiyat jamne lagi thi
bahut muddat hawaen shal rahi thin
wahan is aankh ne badle the tewar
yahan sari dishaen jal rahi thin
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 127)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.