jab baal-o-par nahin to hawa par na jaiye
jab bāl-o-par nahīñ to havā par na jā.iye
āñdhī meñ sair-e-arz-o-samā par na jā.iye
kyā shāndār log haiñ dāman-darīda log
dil dekhiye huzūr qabā par na jā.iye
kiije na regzār meñ phūloñ kā intizār
miTTī hai asl chiiz ghaTā par na jā.iye
kuchh aur kah rahā huuñ ġhazal ke havāle se
matlab samajhiye tarz-e-adā par na jā.iye
āḳhir to faisla sar-e-maqtal usī kā hai
is intizām-e-jurm-o-sazā par na jā.iye
duniyā meñ aur bhī to ishāre safar ke haiñ
har baar apne dil kī sadā par na jā.iye
jab baal-o-par nahin to hawa par na jaiye
aandhi mein sair-e-arz-o-sama par na jaiye
kya shandar log hain daman-darida log
dil dekhiye huzur qaba par na jaiye
kije na regzar mein phulon ka intizar
miTTi hai asl chiz ghaTa par na jaiye
kuchh aur kah raha hun ghazal ke hawale se
matlab samajhiye tarz-e-ada par na jaiye
aaKHir to faisla sar-e-maqtal usi ka hai
is intizam-e-jurm-o-saza par na jaiye
duniya mein aur bhi to ishaare safar ke hain
har bar apne dil ki sada par na jaiye
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 110)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.