jab bar-bar bheje gae ruKHsati ke pan
jab bār-bār bheje ga.e ruḳhsatī ke paan
tang aa ke mujh ko khāne paḌe ruḳhsatī ke paan
dīdār-e-yār karne se pahle hī sāzishan
mahfil meñ mere sāmne the ruḳhsatī ke paan
kuchh ḳhaas dostoñ pe gireñgī ye bijliyāñ
mahfil meñ kab haiñ sab ke liye ruḳhsatī ke paan
mehñdī kā rang jaise chaḌhe un ke haath par
hoñToñ pe mere aise rache ruḳhsatī ke paan
andāz-e-be-ruḳhī meñ bhī tahzīb-e-ishq hai
us ne baḌe adab se diye ruḳhsatī ke paan
ye sun ke phir se ishq kī ummīd bañdh ga.ī
the sirf dil-lagī ke liye ruḳhsatī ke paan
'rāshid' hameñ bhī pās-e-adab thā nikal paḌe
ham be-dilī se khāte hue ruḳhsatī ke paan
jab bar-bar bheje gae ruKHsati ke pan
tang aa ke mujh ko khane paDe ruKHsati ke pan
didar-e-yar karne se pahle hi sazishan
mahfil mein mere samne the ruKHsati ke pan
kuchh KHas doston pe girengi ye bijliyan
mahfil mein kab hain sab ke liye ruKHsati ke pan
mehndi ka rang jaise chaDhe un ke hath par
honTon pe mere aise rache ruKHsati ke pan
andaz-e-be-ruKHi mein bhi tahzib-e-ishq hai
us ne baDe adab se diye ruKHsati ke pan
ye sun ke phir se ishq ki ummid bandh gai
the sirf dil-lagi ke liye ruKHsati ke pan
'rashid' hamein bhi pas-e-adab tha nikal paDe
hum be-dili se khate hue ruKHsati ke pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.