jab bahaar aai hai zanjir-ba-pa rakkha hai
jab bahār aa.ī hai zanjīr-ba-pā rakkhā hai
aqrabā ne mujhe dīvāna banā rakkhā hai
ham-suḳhan ġhair se rahnā hai qarīna aḳhlāq
mujh se kam bolne kā naam hayā rakkhā hai
roz hotī hai hazāroñ hī gharoñ meñ shab-e-ġham
sham.a-rūoñ ne bhī andher machā rakkhā hai
māya-e-zīst hai baaqī dil-e-yak-qatra-e-ḳhūñ
so vo āñkhoñ se Tapakne ko bachā rakkhā hai
dāġh-e-hasrat ki hai vīrāna-e-dil meñ raushan
murda ummīdoñ kī turbat pe diyā rakkhā hai
bazm meñ daad na denā hai ḳhilāf-e-ādāb
ai 'vafā' varna tire sheroñ meñ kyā rakkhā hai
jab bahaar aai hai zanjir-ba-pa rakkha hai
aqraba ne mujhe diwana bana rakkha hai
ham-suKHan ghair se rahna hai qarina aKHlaq
mujh se kam bolne ka nam haya rakkha hai
roz hoti hai hazaron hi gharon mein shab-e-gham
shama-ruon ne bhi andher macha rakkha hai
maya-e-zist hai baqi dil-e-yak-qatra-e-KHun
so wo aankhon se Tapakne ko bacha rakkha hai
dagh-e-hasrat ki hai virana-e-dil mein raushan
murda ummidon ki turbat pe diya rakkha hai
bazm mein dad na dena hai KHilaf-e-adab
ai 'wafa' warna tere sheron mein kya rakkha hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 191)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.