jab be-KHudi se hosh ka yarana ho gaya
jab be-ḳhudī se hosh kā yārāna ho gayā
dair-o-haram kā naam bhī mai-ḳhāna ho gayā
in gul-ruḳhoñ ko jab se huā shauq-e-mai-kashī
jo phuul thā chaman meñ vo paimāna ho gayā
ai ham-nashīñ aziyyat-e-farzāngī na pūchh
jis meñ zarā bhī 'aql thī dīvāna ho gayā
bas us nigāh-e-nāz se milne kī der thī
jo ġham bhī dil meñ thā ġham-e-jānāna ho gayā
mere hī dil kī aag kā sho'la thā vo koī
jo intihā-e-shauq meñ parvāna ho gayā
jab aap aa ga.e ruḳh-e-tābāñ liye hue
pur-nūr zindagī kā siyah-ḳhāna ho gayā
ye raunaqeñ kahāñ mire dil ko nasīb thiiñ
ābād tere ġham se ye kāshāna ho gayā
tai ho sakā na marhala-e-shauq 'aql se
lekin ba-faiz-e-laġhzish-e-mastāna ho gayā
mai-ḳhvār shaad bhī hai bas itnī sī baat hai
itnī sī baat kā magar afsāna ho gayā
jab be-KHudi se hosh ka yarana ho gaya
dair-o-haram ka nam bhi mai-KHana ho gaya
in gul-ruKHon ko jab se hua shauq-e-mai-kashi
jo phul tha chaman mein wo paimana ho gaya
ai ham-nashin aziyyat-e-farzangi na puchh
jis mein zara bhi 'aql thi diwana ho gaya
bas us nigah-e-naz se milne ki der thi
jo gham bhi dil mein tha gham-e-jaanana ho gaya
mere hi dil ki aag ka sho'la tha wo koi
jo intiha-e-shauq mein parwana ho gaya
jab aap aa gae ruKH-e-taban liye hue
pur-nur zindagi ka siyah-KHana ho gaya
ye raunaqen kahan mere dil ko nasib thin
aabaad tere gham se ye kashana ho gaya
tai ho saka na marhala-e-shauq 'aql se
lekin ba-faiz-e-laghzish-e-mastana ho gaya
mai-KHwar shad bhi hai bas itni si baat hai
itni si baat ka magar afsana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.