jab bhī aafat nā-gahānī dekhiye
ḳhūnī rishtoñ kī girānī dekhiye
hoñT to sī lījiye pahle huzūr
harf-e-yārāñ kī ravānī dekhiye
dafn haiñ sīnoñ meñ zaḳhm-e-bebasī
likkhī chehroñ par kahānī dekhiye
zindagī se gar jī-bhar ke mil liye
phir ajal kī mezbānī dekhiye
sādgī ne merī paayā din ye bhī
dostoñ kī hai girānī dekhiye
suud kī ḳhātir badal jaa.eñ nisāb
hukm-e-rab kī tarjumānī dekhiye
kab talak ‘momī’ ujāle ruk sakeñ
ghaas par utrā ye paanī dekhiye
jab bhi aafat na-gahani dekhiye
KHuni rishton ki girani dekhiye
honT to si lijiye pahle huzur
harf-e-yaran ki rawani dekhiye
dafn hain sinon mein zaKHm-e-bebasi
likkhi chehron par kahani dekhiye
zindagi se gar ji-bhar ke mil liye
phir ajal ki mezbani dekhiye
sadgi ne meri paya din ye bhi
doston ki hai girani dekhiye
sud ki KHatir badal jaen nisab
hukm-e-rab ki tarjumani dekhiye
kab talak ‘momi’ ujale ruk saken
ghas par utra ye pani dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.