jab bhī achchhī zamīn DhūñDheñge
sab tirī āstīn DhūñDheñge
tere marne kī sūchnā pā kar
pahle sab glīisarīn DhūñDheñge
tujh ko marghaT pe chhoḌ kar ye log
shaam koī hasīn DhūñDheñge
tere bachche bhī ek din tujh meñ
chaltī phirtī machine DhūñDheñge
terī laghu patrikā paḌhegā kaun
sab baḌī magazine DhūñDheñge
aadmī itnā ho gayā chhoTā
le ke ham dūrbīn DhūñDheñge
ham ko har sub.h aisā lagtā hai
aaj kuchh behtarīn DhūñDheñge
jab bhi achchhi zamin DhunDhenge
sab teri aastin DhunDhenge
tere marne ki suchna pa kar
pahle sab gliisarin DhunDhenge
tujh ko marghaT pe chhoD kar ye log
sham koi hasin DhunDhenge
tere bachche bhi ek din tujh mein
chalti phirti machine DhunDhenge
teri laghu patrika paDhega kaun
sab baDi magazine DhunDhenge
aadmi itna ho gaya chhoTa
le ke hum durbin DhunDhenge
hum ko har subh aisa lagta hai
aaj kuchh behtarin DhunDhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.