jab bhi apna charagh jalta hai
jab bhī apnā charāġh jaltā hai
hāsidoñ kā dimāġh jaltā hai
yūrish-e-barq se nasheman kyā
shāḳh jaltī hai baaġh jaltā hai
mere andar kī aag mat pūchho
hoñT lagte ayāġh jaltā hai
tīrgī hai kahāñ ki Darte ho
aa bhī jaao ki daaġh jaltā hai
haath aatā nahīñ ki pahle hī
sāzishoñ kā surāġh jaltā hai
mas.ale jin kā hal nahīñ un ko
sochiye to dimāġh jaltā hai
raqs-e-tā.ūs kā hasīñ manzar
dekhtā hai to zaaġh jaltā hai
us ko bujhnā hai is liye 'ahsan'
zindagī kā charāġh jaltā hai
jab bhi apna charagh jalta hai
hasidon ka dimagh jalta hai
yurish-e-barq se nasheman kya
shaKH jalti hai bagh jalta hai
mere andar ki aag mat puchho
honT lagte ayagh jalta hai
tirgi hai kahan ki Darte ho
aa bhi jao ki dagh jalta hai
hath aata nahin ki pahle hi
sazishon ka suragh jalta hai
masale jin ka hal nahin un ko
sochiye to dimagh jalta hai
raqs-e-taus ka hasin manzar
dekhta hai to zagh jalta hai
us ko bujhna hai is liye 'ahsan'
zindagi ka charagh jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.