jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai
jab bhī bhūle se kabhī lab pe hañsī aa.ī hai
ġham kī tasvīr mire zehn pe lahrā.ī hai
is qadar charchā hai kuchh āmad-e-fasl-e-gul kā
ḳhaar ko ḳhaar na kahne hī meñ dānā.ī hai
ban ga.ī ḳhaar sar-e-shāḳh kalī vo ik din
phuul banñe kī tamannā meñ jo murjhā.ī hai
aañkh ne dekhā nahīñ ek bhī gul ḳhanda-ba-lab
sirf kānoñ ne sunā hai ki bahār aa.ī hai
din to sāyoñ ke ta.āqub meñ guzārā lekin
phir vahī raat vahī maiñ vahī tanhā.ī hai
jab thā maiñ garm-e-safar sāyoñ se katrātā thā
thak gayā huuñ to mujhe sho.aloñ pe niiñd aa.ī hai
go maiñ begāna huuñ ḳhud zaat se apnī 'sīmāb'
merī fitrat meñ magar anjuman-ārā.ī hai
jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai
gham ki taswir mere zehn pe lahrai hai
is qadar charcha hai kuchh aamad-e-fasl-e-gul ka
KHar ko KHar na kahne hi mein danai hai
ban gai KHar sar-e-shaKH kali wo ek din
phul banne ki tamanna mein jo murjhai hai
aankh ne dekha nahin ek bhi gul KHanda-ba-lab
sirf kanon ne suna hai ki bahaar aai hai
din to sayon ke taaqub mein guzara lekin
phir wahi raat wahi main wahi tanhai hai
jab tha main garm-e-safar sayon se katraata tha
thak gaya hun to mujhe shoalon pe nind aai hai
go main begana hun KHud zat se apni 'simab'
meri fitrat mein magar anjuman-arai hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 175)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.