jab bhi dekha hai baja dekha hai
jab bhī dekhā hai bajā dekhā hai
aa.ina ḳhaak huā dekhā hai
ye mirī aañkh nahīñ fitna hai
us ne har shaḳhs ḳhudā dekhā hai
baat karte ho ravānī kī tum
maiñ ne dariyā ko rukā dekhā hai
jaane kitne hī zamāne guzre
maiñ ne har roz nayā dekhā hai
zahr ko zabt kiye baiThā huuñ
yuuñ to har dasht harā dekhā hai
raat bhar niiñd nahīñ aatī mujhe
maiñ ne insān marā dekhā hai
maiñ ne īmān kī ḳhātir 'dā.em'
sar ko neze pe chaḌhā dekhā hai
jab bhi dekha hai baja dekha hai
aaina KHak hua dekha hai
ye meri aankh nahin fitna hai
us ne har shaKHs KHuda dekha hai
baat karte ho rawani ki tum
main ne dariya ko ruka dekha hai
jaane kitne hi zamane guzre
main ne har roz naya dekha hai
zahr ko zabt kiye baiTha hun
yun to har dasht hara dekha hai
raat bhar nind nahin aati mujhe
main ne insan mara dekha hai
main ne iman ki KHatir 'daem'
sar ko neze pe chaDha dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.