jab bhi dekhe wabaal karti hai
jab bhī dekhe vabāl kartī hai
aañkh us kī kamāl kartī hai
aa.ina ġhaur jab nahīñ kartā
muflisī tab savāl kartī hai
āshiqī kā mizāj rab jaane
jiinā marnā muhāl kartī hai
dāstāneñ vajūd pātīñ haiñ
naujavānī kamāl kartī hai
ruuh ko nazr karnā paḌtā hai
maut jis dam savāl kartī hai
bas tasavvur meñ aa ke terī hañsī
sur ko lai lai ko taal kartī hai
jab bhī aatī hai hijr kī saa.at
dil ke shīshe meñ baal kartī hai
bas tirī yaad din ke Dhalte hī
mujh ko har shab niDhāl kartī hai
terī ulfat kā hai tufail 'vasīm'
mujh ko jo be-misāl kartī hai
jab bhi dekhe wabaal karti hai
aankh us ki kamal karti hai
aaina ghaur jab nahin karta
muflisi tab sawal karti hai
aashiqi ka mizaj rab jaane
jina marna muhaal karti hai
dastanen wajud patin hain
naujawani kamal karti hai
ruh ko nazr karna paDta hai
maut jis dam sawal karti hai
bas tasawwur mein aa ke teri hansi
sur ko lai lai ko tal karti hai
jab bhi aati hai hijr ki saat
dil ke shishe mein baal karti hai
bas teri yaad din ke Dhalte hi
mujh ko har shab niDhaal karti hai
teri ulfat ka hai tufail 'wasim'
mujh ko jo be-misal karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.