jab bhi farzanon ke hamrah chale hain hum log
jab bhī farzānoñ ke hamrāh chale haiñ ham log
Thokareñ khā ke har ik baar gire haiñ ham log
maslahat vaqt kī kuchh is meñ rahī hai shāyad
chalte chalte jo sar-e-rāh ruke haiñ ham log
qāfile kitne hī guzre haiñ idhar se phir bhī
gard kī tarah sar-e-rāh saje haiñ ham log
sirf kuchh der tirī bazm meñ hañsne ke liye
saiñkaḌoñ baar jale aur bujhe haiñ ham log
mom kī tarah pighal jaate haiñ āsānī se
jaane kis tarz ke sāñche meñ Dhale haiñ ham log
aaj sannāTā hai dariyā meñ har ik samt magar
jaane kyā soch ke sāhil pe khaḌe haiñ ham log
mausam-e-aish ho yā ranj kā aalam ho 'kamāl'
ya.anī har haal meñ ḳhush-hāl rahe haiñ ham log
jab bhi farzanon ke hamrah chale hain hum log
Thokaren kha ke har ek bar gire hain hum log
maslahat waqt ki kuchh is mein rahi hai shayad
chalte chalte jo sar-e-rah ruke hain hum log
qafile kitne hi guzre hain idhar se phir bhi
gard ki tarah sar-e-rah saje hain hum log
sirf kuchh der teri bazm mein hansne ke liye
sainkaDon bar jale aur bujhe hain hum log
mom ki tarah pighal jate hain aasani se
jaane kis tarz ke sanche mein Dhale hain hum log
aaj sannaTa hai dariya mein har ek samt magar
jaane kya soch ke sahil pe khaDe hain hum log
mausam-e-aish ho ya ranj ka aalam ho 'kamal'
yani har haal mein KHush-haal rahe hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.