jab bhi gardish mein jam aaya hai
jab bhī gardish meñ jaam aaya hai
rif.atoñ kā payām aaya hai
sar nigūñ ho rahe haiñ paimāne
phir koī tishna-kām aaya hai
zehn ne jab naved-e-zīst na dī
dil-e-nā-kām kaam aaya hai
bhuul kar bhī na aap ne pūchhā
kyoñ koī zer-e-dām aaya hai
log kahte haiñ chāñdnī shab hai
kaun bālā-e-bām aaya hai
bhar gayā zindagī kā paimāna
aaj vo bhar ke jaam laayā hai
merī manzil hoñ chāñd aur taare
ye to saudā-e-ḳhām aaya hai
jab bhi gardish mein jam aaya hai
rifaton ka payam aaya hai
sar nigun ho rahe hain paimane
phir koi tishna-kaam aaya hai
zehn ne jab nawed-e-zist na di
dil-e-na-kaam kaam aaya hai
bhul kar bhi na aap ne puchha
kyon koi zer-e-dam aaya hai
log kahte hain chandni shab hai
kaun baala-e-baam aaya hai
bhar gaya zindagi ka paimana
aaj wo bhar ke jam laya hai
meri manzil hon chand aur tare
ye to sauda-e-KHam aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.