jab bhi hamare dard ka qissa bayan hua
jab bhi hamare dard ka qissa bayan hua
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
jab bhī hamāre dard kā qissa bayāñ huā
mahfil yahāñ jamī to tamāsha vahāñ huā
vo zarra jo tumhārā nigāhoñ meñ thā haqīr
vo zarra aaj ḳhair se ek āsmāñ huā
dekhā ma.āl-e-ishq to duniyā badal ga.ī
dil aaj apne aap se bhī bad-gumāñ huā
ik dard jis ko ham ne kiyā dil meñ parvarish
vo mehrbān dard bhī nā-mehrbāñ huā
tum kah rahe ho chār-sū sham.eñ jalā.ī haiñ
ye to hameñ batāo ujālā kahāñ huā
us ne bhī vāldain se kiiñ bad-sulūkiyāñ
sau minnatoñ ke baad jo beTā javāñ huā
munsif ne mere qatl ko likkhā hai ḳhud-kushī
insāf mujh ġharīb se āḳhir kahāñ huā
is inqilāb-e-vaqt ke qurbān jā.iye
muddat ke ba.ad aap ko fikr-e-ziyāñ huā
jab bhi hamare dard ka qissa bayan hua
mahfil yahan jami to tamasha wahan hua
wo zarra jo tumhaara nigahon mein tha haqir
wo zarra aaj KHair se ek aasman hua
dekha maal-e-ishq to duniya badal gai
dil aaj apne aap se bhi bad-guman hua
ek dard jis ko hum ne kiya dil mein parwarish
wo mehrban dard bhi na-mehrban hua
tum kah rahe ho chaar-su shamen jalai hain
ye to hamein batao ujala kahan hua
us ne bhi waldain se kin bad-sulukiyan
sau minnaton ke baad jo beTa jawan hua
munsif ne mere qatl ko likkha hai KHud-kushi
insaf mujh gharib se aaKHir kahan hua
is inqilab-e-waqt ke qurban jaiye
muddat ke baad aap ko fikr-e-ziyan hua
- Book : سائبان غزل (Pg. 41)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.