jab bhi hamein kuchh ishq ka hasil nazar aaya
jab bhī hameñ kuchh ishq kā hāsil nazar aaya
dar-parda koī apne muqābil nazar aaya
jaise ki bahār aa ga.ī ujḌe hue ghar meñ
jab dāman-e-dil se koī vāsil nazar aaya
ik saañs liyā thā abhī āzād fazā meñ
phir silsila-e-tauq-o-salāsil nazar aaya
guzrā jo tirī rāhguzar se kabhī ai dost
har zarra se lipTā huā ik dil nazar aaya
chheḌo na mujhe maiñ bhī usī dar kā gadā huuñ
har ek tavangar jahāñ saa.il nazar aaya
duniyā-e-mohabbat meñ na pūchh ham se ki ham ko
jiinā hī nahīñ marnā bhī mushkil nazar aaya
kahlā ke ġhazal ham se jo paḌhtā rahā kal tak
kahte haiñ taġhazzul meñ vo kāmil nazar aaya
jab bhi hamein kuchh ishq ka hasil nazar aaya
dar-parda koi apne muqabil nazar aaya
jaise ki bahaar aa gai ujDe hue ghar mein
jab daman-e-dil se koi wasil nazar aaya
ek sans liya tha abhi aazad faza mein
phir silsila-e-tauq-o-salasil nazar aaya
guzra jo teri rahguzar se kabhi ai dost
har zarra se lipTa hua ek dil nazar aaya
chheDo na mujhe main bhi usi dar ka gada hun
har ek tawangar jahan sail nazar aaya
duniya-e-mohabbat mein na puchh hum se ki hum ko
jina hi nahin marna bhi mushkil nazar aaya
kahla ke ghazal hum se jo paDhta raha kal tak
kahte hain taghazzul mein wo kaamil nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.