jab bhi hui hai mujh pe meri zindagi giran
jab bhī huī hai mujh pe mirī zindagī girāñ
kyā kyā tire ḳhayāl ne dī haiñ tasalliyāñ
is dasht-e-ġham ko kaise kaheñ zindagī jahāñ
ḳhushiyoñ ke phuul haiñ na bahāroñ ke kārvāñ
hote jo aap dard-bhare dil ke ġham-gusār
rashk-e-nashāt hotī mire ġham kī dāstāñ
sab naqsh-e-ārzū yahāñ mā’dūm ho ga.e
ai merī zindagī mujhe le aa.ī tū kahāñ
pūchho na shām-e-ranj se sub.h-e-nashāt tak
TuuTe haiñ dil pe kitne sitam-hā-e-nāgahāñ
jo tere zulf-o-ruḳh ke tasavvur meñ kaT ga.ī
us 'umr ko samajhte haiñ sab ‘umr-e-rā.egāñ
ik dushman-e-sukūñ mire ḳhvāboñ ko chhīn kar
vīrān kar gayā hai tamannā kī bastiyāñ
kuchh aur māñgtī hai ġhazal āj-kal 'shakīl'
farsūda ho chukī hai ruḳh-o-lab kī dāstāñ
jab bhi hui hai mujh pe meri zindagi giran
kya kya tere KHayal ne di hain tasalliyan
is dasht-e-gham ko kaise kahen zindagi jahan
KHushiyon ke phul hain na bahaaron ke karwan
hote jo aap dard-bhare dil ke gham-gusar
rashk-e-nashat hoti mere gham ki dastan
sab naqsh-e-arzu yahan ma’dum ho gae
ai meri zindagi mujhe le aai tu kahan
puchho na sham-e-ranj se subh-e-nashat tak
TuTe hain dil pe kitne sitam-ha-e-nagahan
jo tere zulf-o-ruKH ke tasawwur mein kaT gai
us 'umr ko samajhte hain sab ‘umr-e-raegan
ek dushman-e-sukun mere KHwabon ko chhin kar
viran kar gaya hai tamanna ki bastiyan
kuchh aur mangti hai ghazal aaj-kal 'shakil'
farsuda ho chuki hai ruKH-o-lab ki dastan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.