jab bhi KHalwat mein meri shama jali sham ke baad
jab bhī ḳhalvat meñ mirī sham.a jalī shaam ke baad
dil ke darvāze pe dastak sī huī shaam ke baad
chāñd tāroñ kī jo mahfil thī sajī shaam ke baad
mujh ko mahsūs huī terī kamī shaam ke baad
din to ḳhāmosh guzar jaatā hai apnā lekin
aa hī jaatī hai magar yaad tirī shaam ke baad
jān-e-man kuchh to ilāj-e-ġham-e-daurāñ karnā
varna baḌh jā.egī afsurda-dilī shaam ke saath
shaiḳh kī baat pe jo kar lī thī tauba ham ne
aap ke aate hī vo TuuT ga.ī shaam ke baad
vo bhī ab tak nahīñ aa.e na payām aaya hai
phone kī line bhī phir TuuT ga.ī shaam ke baad
merī tanhā.ī bhī 'shāhīn' banī hai dushman
mujh ko nāgin kī tarah Dasne lagī shaam ke baad
jab bhi KHalwat mein meri shama jali sham ke baad
dil ke darwaze pe dastak si hui sham ke baad
chand taron ki jo mahfil thi saji sham ke baad
mujh ko mahsus hui teri kami sham ke baad
din to KHamosh guzar jata hai apna lekin
aa hi jati hai magar yaad teri sham ke baad
jaan-e-man kuchh to ilaj-e-gham-e-dauran karna
warna baDh jaegi afsurda-dili sham ke sath
shaiKH ki baat pe jo kar li thi tauba hum ne
aap ke aate hi wo TuT gai sham ke baad
wo bhi ab tak nahin aae na payam aaya hai
phone ki line bhi phir TuT gai sham ke baad
meri tanhai bhi 'shahin' bani hai dushman
mujh ko nagin ki tarah Dasne lagi sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.