Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi kisi ki yaad mein hum gungunae hain

Mohammad Abdul Qadir Adeeb

jab bhi kisi ki yaad mein hum gungunae hain

Mohammad Abdul Qadir Adeeb

MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb

    jab bhī kisī yaad meñ ham gungunā.e haiñ

    mahsūs yuuñ huā ki fazāoñ pe chhā.e haiñ

    juuñ charāġh-e-rāh-e-vafā jagmagā.e haiñ

    chal kar vo duur se mire nazdīk aa.e haiñ

    tanhā.iyoñ ke ā.ina-ḳhāne meñ beshtar

    aksar tire baġhair bhī ham muskurā.e haiñ

    jo log ehtimām-e-charāġhāñ na kar sake

    vo log apne aap ko shab bhar jalā.e haiñ

    kyoñ naaz kar rahe ho rafīqoñ pe ai 'adīb'

    rāh-e-vafā meñ un ke qadam Dagmagā.e haiñ

    jab bhi kisi ki yaad mein hum gungunae hain

    mahsus yun hua ki fazaon pe chhae hain

    jun hi charagh-e-rah-e-wafa jagmagae hain

    chal kar wo dur se mere nazdik aae hain

    tanhaiyon ke aaina-KHane mein beshtar

    aksar tere baghair bhi hum muskurae hain

    jo log ehtimam-e-charaghan na kar sake

    wo log apne aap ko shab bhar jalae hain

    kyon naz kar rahe ho rafiqon pe ai 'adib'

    rah-e-wafa mein un ke qadam Dagmagae hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now