jab bhi mara zamin pe baDe ghar ka aadmi
jab bhī marā zamīñ pe baḌe ghar kā aadmī
to chauk par lagā diyā patthar kā aadmī
dastār bādshāh ke qadmoñ meñ Daal kar
darbār meñ khaḌā hai binā sar kā aadmī
miTTī se ġhusl karne kā us ko nahīñ shu'ūr
sahrā meñ kyā karegā samundar kā aadmī
kālakh kahāñ se aa ga.ī itnī vujūd meñ
miTTī kā aadmī hai ki Dāmar kā aadmī
aa.ī jo raat chal diyā shaitān kī taraf
din bhar jo lag rahā thā payambar kā aadmī
bāhar ke aadmī se maiñ rahtā thā hoshiyār
nuqsān merā kar gayā andar kā aadmī
har aadmī ye sochtā rahtā hai 'umr bhar
koī nahīñ hai mere barābar kā aadmī
āḳhir shikast khā gayā lekin mahāz par
mujh se bahut laḌā mire andar kā aadmī
jab bhi mara zamin pe baDe ghar ka aadmi
to chauk par laga diya patthar ka aadmi
dastar baadshah ke qadmon mein Dal kar
darbar mein khaDa hai bina sar ka aadmi
miTTi se ghusl karne ka us ko nahin shu'ur
sahra mein kya karega samundar ka aadmi
kalakh kahan se aa gai itni wujud mein
miTTi ka aadmi hai ki Damar ka aadmi
aai jo raat chal diya shaitan ki taraf
din bhar jo lag raha tha payambar ka aadmi
bahar ke aadmi se main rahta tha hoshiyar
nuqsan mera kar gaya andar ka aadmi
har aadmi ye sochta rahta hai 'umr bhar
koi nahin hai mere barabar ka aadmi
aaKHir shikast kha gaya lekin mahaz par
mujh se bahut laDa mere andar ka aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.