jab bhi teri zulfon ki hawa jag uThi hai
jab bhī tirī zulfoñ kī havā jaag uThī hai
mahsūs huā hai ki sabā jaag uThī hai
jin hāthoñ meñ barsoñ rahī tasvīr-e-mohabbat
un hāthoñ meñ taqdīr-e-hinā jaag uThī hai
phir aap ne dekhā hai mohabbat kī nazar se
phir dil ke dhaḌakne kī adā jaag uThī hai
kyā aaj kisī yaad ne zaḳhmoñ ko hai chheḌā
kyoñ aap kī āñkhoñ meñ ghaTā jaag uThī hai
vo dekh nazar aane lage ḳhār-e-muġhīlāñ
taqdīr tirī ābla-pā jaag uThī hai
is dil ke taḌapne kā bhī 'ālam koī dekhe
jis dil meñ papīhe kī sadā jaag uThī hai
jab bhi teri zulfon ki hawa jag uThi hai
mahsus hua hai ki saba jag uThi hai
jin hathon mein barson rahi taswir-e-mohabbat
un hathon mein taqdir-e-hina jag uThi hai
phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se
phir dil ke dhaDakne ki ada jag uThi hai
kya aaj kisi yaad ne zaKHmon ko hai chheDa
kyon aap ki aankhon mein ghaTa jag uThi hai
wo dekh nazar aane lage KHar-e-mughilan
taqdir teri aabla-pa jag uThi hai
is dil ke taDapne ka bhi 'alam koi dekhe
jis dil mein papihe ki sada jag uThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.