jab bhi un ke hamein andaz-e-nazar yaad aae
jab bhī un ke hameñ andāz-e-nazar yaad aa.e
dil pe ik choT lagī dard-e-jigar yaad aa.e
shab ko yaad aa.e kabhī vaqt-e-sahar yaad aa.e
ham bhulāte hī rahe aap magar yaad aa.e
aah phir hone lagī ek ḳhalish sī dil meñ
un ke mub.ham se ishārāt-e-nazar yaad aa.e
haa.e kyā chiiz mohabbat meñ hai majbūrī bhī
laakh chāhā vo na yaad aa.eñ magar yaad aa.e
yuuñ to ye ziist tumhārī hai ḳhushī se le lo
ashk ro ke na rukeñge ham agar yaad aa.e
ashk chhalke kabhī hoñToñ pe mire aa.ī hañsī
jab vo yaad aa.e ba-andāz-e-digar yaad aa.e
haa.e bas aane hī vaalī thī hañsī hoñToñ par
mujh ko guzre hue ayyām magar yaad aa.e
jab bhī ai 'shauq' zarā dil ko sukūñ milne lagā
ham ko us shauq ke andāz-e-nazar yaad aa.e
jab bhi un ke hamein andaz-e-nazar yaad aae
dil pe ek choT lagi dard-e-jigar yaad aae
shab ko yaad aae kabhi waqt-e-sahar yaad aae
hum bhulate hi rahe aap magar yaad aae
aah phir hone lagi ek KHalish si dil mein
un ke mubham se ishaaraat-e-nazar yaad aae
hae kya chiz mohabbat mein hai majburi bhi
lakh chaha wo na yaad aaen magar yaad aae
yun to ye zist tumhaari hai KHushi se le lo
ashk ro ke na rukenge hum agar yaad aae
ashk chhalke kabhi honTon pe mere aai hansi
jab wo yaad aae ba-andaz-e-digar yaad aae
hae bas aane hi wali thi hansi honTon par
mujh ko guzre hue ayyam magar yaad aae
jab bhi ai 'shauq' zara dil ko sukun milne laga
hum ko us shauq ke andaz-e-nazar yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.