jab bhi uski KHwahish rakhna
jab bhī us kī ḳhvāhish rakhnā
achchhā hai kuchh dānish rakhnā
laakh man.a kar dene par bhī
jaarī apnī koshish rakhnā
maiñ ne mohabbat sikhlā.ī thī
sīkhā kis ne ranjish rakhnā
dil mandir masjid jaisā hai
dil meñ na koī sāzish rakhnā
ḳhvāhish meñ sar bhī jaate haiñ
soch samajh kar ḳhvāhish rakhnā
chāhat kā matlab hotā hai
dil meñ zinda ātish rakhnā
hañs dene par us ke aage
koī mat farmā.ish rakhnā
jab bhi us ki KHwahish rakhna
achchha hai kuchh danish rakhna
lakh mana kar dene par bhi
jari apni koshish rakhna
main ne mohabbat sikhlai thi
sikha kis ne ranjish rakhna
dil mandir masjid jaisa hai
dil mein na koi sazish rakhna
KHwahish mein sar bhi jate hain
soch samajh kar KHwahish rakhna
chahat ka matlab hota hai
dil mein zinda aatish rakhna
hans dene par us ke aage
koi mat farmaish rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.