jab bhi yaadon ka ubharta hai qamar sham ke baad
jab bhī yādoñ kā ubhartā hai qamar shaam ke baa'd
dil meñ uThte haiñ udāsī ke bhañvar shaam ke baa'd
kaun chehre se haTātā hai mukhauTe din meñ
sāmne aate haiñ poshīda hunar shaam ke baa'd
dostoñ ko bhī nahīñ yaad hamārī galiyāñ
aur ab ham bhī nahīñ jaate udhar shaam ke baa'd
khīñch le jaatī hai qadmoñ ko koī majbūrī
kaun kartā hai ḳhushī se yuuñ safar shaam ke baa'd
haiñ ye fōt-pāth ke bistar hī muqaddar kuchh ke
sab nahīñ lauT ke jā paate haiñ ghar shaam ke baa'd
jab bhi yaadon ka ubharta hai qamar sham ke ba'd
dil mein uThte hain udasi ke bhanwar sham ke ba'd
kaun chehre se haTata hai mukhauTe din mein
samne aate hain poshida hunar sham ke ba'd
doston ko bhi nahin yaad hamari galiyan
aur ab hum bhi nahin jate udhar sham ke ba'd
khinch le jati hai qadmon ko koi majburi
kaun karta hai KHushi se yun safar sham ke ba'd
hain ye foot-path ke bistar hi muqaddar kuchh ke
sab nahin lauT ke ja pate hain ghar sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.