jab bhi zulfon ko tere ruKH pe bikharte dekha
jab bhī zulfoñ ko tire ruḳh pe bikharte dekhā
ho ke sharminda ghaTāoñ ko guzarte dekhā
dil se chup-chāp tujhe jab bhī guzarte dekhā
yād-e-māzī kā har ik naqsh ubharte dekhā
kitne ḳhvāboñ ko shab-o-roz bikharte dekhā
phir bhī ik pal na zamāne ko Thaharte dekhā
baat kuchh un kī javānī pe hī mauqūf nahīñ
chaḌhte dariyā ko bhī ik roz utarte dekhā
aa.ī vo raushnī hālāt ke bāzāroñ meñ
apne saa.e se bhī har shaḳhs ko Darte dekhā
koñpleñ phūTī haiñ shāḳhoñ pe na.e mausam kī
jis ghaḌī jaur-e-ḳhizāñ had se guzarte dekhā
bahr-e-ulfat meñ tasavvur hī kahāñ sāhil kā
Dūbne vaale ko hī paar utarte dekhā
rāhateñ maut haiñ insān ke haq meñ 'ārif'
dil kī fitrat ko masā.ib meñ sañvarte dekhā
jab bhi zulfon ko tere ruKH pe bikharte dekha
ho ke sharminda ghaTaon ko guzarte dekha
dil se chup-chap tujhe jab bhi guzarte dekha
yaad-e-mazi ka har ek naqsh ubharte dekha
kitne KHwabon ko shab-o-roz bikharte dekha
phir bhi ek pal na zamane ko Thaharte dekha
baat kuchh un ki jawani pe hi mauquf nahin
chaDhte dariya ko bhi ek roz utarte dekha
aai wo raushni haalat ke bazaron mein
apne sae se bhi har shaKHs ko Darte dekha
konplen phuTi hain shaKHon pe nae mausam ki
jis ghaDi jaur-e-KHizan had se guzarte dekha
bahr-e-ulfat mein tasawwur hi kahan sahil ka
Dubne wale ko hi par utarte dekha
rahaten maut hain insan ke haq mein 'arif'
dil ki fitrat ko masaib mein sanwarte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.