jab chandni mein chand se nazren milaenge
jab chāñdnī meñ chāñd se nazreñ milā.eñge
pariyoñ kī tum ko ek kahānī sunā.eñge
taktī hai mujh ko husn ke parde se ḳhud hayā
ādāb-e-ishq aap kyā mujh ko sikhā.eñge
chaltā hai saath saath ḳhamoshī kā ik hujūm
thak kar gireñge ham to sadā.eñ lagā.eñge
chhat par Tahal rahī hai ajab sar-phirī havā
jugnū añdherī raat ko rasta dikhā.eñge
phir chal rahī hai merī bhī chiḌiyoñ se guftugū
fasl-e-bahār aa.ī to naġhmeñ sunā.eñge
ab to kahīñ 'abīr' udāsī se mil gale
vaqt-e-shabāb ham bhī ka.ī gul khilā.enge
jab chandni mein chand se nazren milaenge
pariyon ki tum ko ek kahani sunaenge
takti hai mujh ko husn ke parde se KHud haya
aadab-e-ishq aap kya mujh ko sikhaenge
chalta hai sath sath KHamoshi ka ek hujum
thak kar girenge hum to sadaen lagaenge
chhat par Tahal rahi hai ajab sar-phiri hawa
jugnu andheri raat ko rasta dikhaenge
phir chal rahi hai meri bhi chiDiyon se guftugu
fasl-e-bahaar aai to naghmen sunaenge
ab to kahin 'abir' udasi se mil gale
waqt-e-shabab hum bhi kai gul khilaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.