jab chandniyan ghar ki dahliz pe chalti hain
jab chāñdniyāñ ghar kī dahlīz pe chaltī haiñ
āseb-zada rūheñ saḌkoñ pe Tahaltī haiñ
dar-asl vo nīñdeñ haiñ āġhosh meñ ashkoñ kī
palkoñ kī muñDeroñ se har shab jo phisaltī haiñ
mā'sūm umīdeñ haiñ hālāt kī gardish meñ
ghar meñ kisī muflis ke shahzādiyāñ paltī haiñ
ai kaash ki raushan hoñ fānūs umīdoñ ke
āñkhoñ ke kaToroñ meñ kuchh sham.eñ pighaltī haiñ
ḳhud se hī na ho jā.ūñ anjān kisī din maiñ
har roz tamannā.eñ poshāk badaltī haiñ
maslā gayā jis din se kaliyoñ ko yahāñ 'mīnā'
kuchh ḳhushbueñ sahrā se har raat nikaltī haiñ
jab chandniyan ghar ki dahliz pe chalti hain
aaseb-zada ruhen saDkon pe Tahalti hain
dar-asl wo ninden hain aaghosh mein ashkon ki
palkon ki munDeron se har shab jo phisalti hain
ma'sum umiden hain haalat ki gardish mein
ghar mein kisi muflis ke shahzadiyan palti hain
ai kash ki raushan hon fanus umidon ke
aankhon ke kaToron mein kuchh shamen pighalti hain
KHud se hi na ho jaun anjaan kisi din main
har roz tamannaen poshak badalti hain
masla gaya jis din se kaliyon ko yahan 'mina'
kuchh KHushbuen sahra se har raat nikalti hain
- Book : Kirchiyan Dard Ki (Pg. 41)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.